Mere Bhaio, jo kuch Pakisan ke sath ho chuka woh to ho chuka. abb masla yeh hai keh iss ko sambhalna kaise hai, Mulmlaat ko theek kaise karna hai. Yahi rasta hai keh qaum ko shaoor dia jaye. Aur shaoor dene ka wahid rasta hai Taleem dena. Taleem woh nahin jo ham par maghrib ki janib se musallat ki ja rahi hai. Woh taleem jo hamaray mazhab se mutabiqat rakhti ho. Agla sawal yeh hai keh aisi taleem aye kahan se. Jo log "Ulema-e-Deen" kehlatay hain unn ke to apne bachay America aur Europe main parhtay hain. Aur boht mazay ki baat yeh hai jin ke bachay America main parhtay hain, wohi Pakistan ki sarrkon pe America ko galiyan de de kar hamain bewaqoof bana rahay hotay hain. To phir muashray ki islah kon karay.
Jawab iss ka yeh hai keh muashray ki islah har banday ne khud hi karni hai. Magar iss islah ke lye jis qism ki soch aur jis qism ki zehniyat chahye, woh hamaray mushray ke 2% logon ke paas bhi nahin hai. Woh kon si soch hai jo iss kaam ke lye darkar hai?
Aik soch hai jis ko main "Affiliated Thought" ka naam deta hon. Yeh boht khatarnaak cheez hai. Matlab iss word ka yeh hai keh jab ham kisi bhi maslay ke baray main sochtay hain to hamari soch par kuch cheezain ghalib ajati hain. Ham jis party ko support kartay hain, uss ke mafadat ko madd-e-nazar rakh ke fesla kartay hain. Jis mazhabi firqay se hamara ta'luq hota hai, uss ki ideology ko madd-e-nazar rakh ke fesla kartay hain. Ham jis bradari se taluq rakhtay hain, fesla kartay waqt hamaray feslay pe woh ta'luq bhi ghalib ata hai.
Phir sawal yeh peda hota hai keh itni saari Affiliations ki zehn main mojoodgi ke hotay hue hamara fesla munsifana kaise ho sakta hai?
Insaf karna dunya ka sab se mushkil kaam hai, magar jo sakhs karta hai, wohi Allah ki nazar main sab se buland darjay pe faiz hai. Mundarja-bala Affiliations ki mojoodgi main munsifana fesla to namumkin hai. Jab hamara fesla hi munsifana nahin hoga to ham Pakistan ki bhalai ka to tasawwar bhi nahin kar sakte. Hamara zehn Angrezon se to kia azad hota, apni inn muqami Affiliations se hi azad na hosaka.
Hamari syasi jamaton ka "Tareeqa-e-Wardat" yeh hai keh apne kisi chamchay ke zareay 2 khandanon ya 2 biradriyon main jhagra karwatay hain, phir unn ko police tak puhnchatay hain. Phir khud darmyan main kood partay hain aur apna bharpoor kirdar ada karte hue sulah safai karwatay hain. Iss ke nateejay main dono biradryon ke log iss ke ehsan-mand hojatay hain. Iss ehsan ke nataij Pakistan ke lye boht khatarnaak hotay hain. Woh iss tarah keh abb dono biradriyon ke logon ke zaati khayalat kuch bhi hon, jis banday ne unn ka police case khatam karwaya hota hai aur sulah karwai hoti hai, Vote usi ke kehne pe dena hota hai. Apne khiyalat jayen bhaarr main.
To janaab, mere kehne ka matlab yeh hua keh jis din ham tamaam Affiliations se BALA-TAR ho kar sochne lagay aur sirf Pakistan ka mufad madd-e-nazar rakh ke socha, Ham bhi theek hojayen gay aur Pakistan bhi boht mukhtasir arsay main taraqqi kar jaye ga.