Aaj dunya ke musalman jis zillat, tabahi aur barbadi ka shikar hain aur hotay jarahay hain kabhi iss ki wajoohat pe kisi ne ghor kia hai? Koi hamaray Nabi (SAWW) ki shan main gustakhi karta hai to koi musalmanoon ka qatl-e-aam farz samajh ke shuru kar deta hai. Magar kia kabhi, be-hesiyat-e-musalman, khud apnay garebaan main jhanka hai?
Iss tamaam zillat, barbadi, zulm aur be-izzati ke mujrim ham khud hain. Ham muslims main woh kon si khoobi abb baqi reh gai hai ki bunyad pe non-muslim world hamari izzat karay? Hamaray apnay mulk main Toheen-e-Risalat ke lye sazaye-maut ki saja ka qanoon mojood hai. Magar kabhi iss par amal hua? Hamara mazhab sikhata hai keh ham ne muashray main aman-o-amaan qaim rakhna hai aur aisi zindagi guzarni hai keh kisi dooray jandar ko takleef na puhnchay, Ham main se kon hai jo iss par amal karta hai?
Hamaray pyaray Nabi (SAWW) ne 40 saal tak apni shakhsiyat ko namoona bana ke pesh farmaya aur uss ke nateejay main do (2) laqab hasil kye i.e. SADIQ aur AMEEN. Yeh woh dono khoobiyan thi jis ki bunyad pe 23 saal main Islam phela.
Matlab yeh hua keh Jis main yeh dono khoobiyan nahin hain, woh Muslim hi nahin hai. Aaj ham main kitne logon main yeh dono batain mojood hain? Iss ke ilawa, Quran ka nazool IQRA ke word se shuru hota hai, magar ham iss ko kitni ehmiyat detay hain?
Mazeed agay barhain to aaj kon si kharabi hai jo ham main nahin? Rishwat, Sifarish, Chorbazari, Jhoot, Takhreebkari, Tashadud, Na-Insafi, Khudkash Hamlay, Qatal, Bomb-dhamakay, etc etc? Ham non-muslim world ko kia peghaam de rahay hain. Kia hamara kirdar iss qabil hai keh non-muslim dunya hamari taqleed kar sakay. Kia ham iss qabil hain keh apne kirdar pe fakhar kar sakain?
George Bernard Shaw ne kaha tha keh "Islam dunya ka behtareen mazhab aur musalman bud-tareen qaum hai". Iss waqt ham ko Allama Iqbal ke aik she'r pe amal karne ki zaroorat hai:
Ho sadaqat ke lye jis dil main marnay ki tarrap;
Pehle apne pekar-e-khaki main jaan peda karay.
Baat samajh main ajaye to Zaroor sochye aur share kijye.
No comments:
Post a Comment