“Jab tumhari aulad baligh hojaye to unn ki shadi main jaldi karo (Al-Quran)”
Janaab, aaj iss Ayat-e-kareema ki woh tashreeh main doston ke samne bayan karta hon jo keh mere naqis zehn ke mutabbiq banti hai. Meri nazar main Yeh ayat aik musalman ko apni aulad ko paalnay ka poora zabta-e-hayat aur schedule deti hai. Agar Allah ta'ala ne dunya main anay walay insan ko baligh hojanay ke baad shadi ke qabil qaraar dia hai to iss ka matlab yeh hua keh "Baligh honay tak insan ki muashi aur muasharti tarbiyat mukammal hojani chahye".
Jahan tak taleem ka taluq hai, to uss ke lye Allah ta'ala ne koi hadd muqarrar hi nahin ki. Maan ki goad se qabr tak ka waqt taleem ke husool ke lye muqarrar farmadia gaya hai. Lihaza yeh to bahana baqi bachta hi nahin keh taleem mukammal honay ke baad shadi hogi.
Muasharti tarbiyat insaan muashray main rehtay hue apnay barron aur bazurgon se seekhta hai, lihaza woh waqt ke sath sath seekhta rehta hai.
Sab se bara masla hai muashi khud-mukhtari ka. Hamaray muashray ki nazar main muashi taur pe koi insaan sirf uss waqt khud-mukhtar hota hai jab uss ko sarkari nokri mil jaye. Jabkeh Allah Ta'ala ne musalman ke lye nokri ya mulazmat ko nichle darjay ka zareea muash qarar dia hai. Musalman ko to hukm dia gaya hai keh pehle number pe jo zareea muash ikhtiar karna hai, woh tijarat hai, aur doosray number pe kheti-baarri (agriculture).
Aaj ke daur main aap apnay ird gird ki misalain dekhain to hamain wazeh taur pe nazar ata hai keh tijarat-pesha aur karobari logon ke bachay boht jald iss qabil ho jatay hain keh unn ki shadi jaldi ki ja sakay. Jab keh mulazmat awwal to milti nahin, aur jab mil jaye to phir banda apnay ghareloo faraiz ada karta karta kam az kam 30 saal ki umar ke baad hi shadi karta hai. Uss se pehle boht ki kam log kar paatay hain. Kheti baarri walay logon ka bhi agar jaiza lain to wahan bhi bachon ki shadiyan jaldi hi kar di jati hain.
Abb aik shosha, jo keh maghrib ki janib se hamaray muashray main dakhil kia gaya hai, family planning, jis ka saada alfaz main matlab hua keh bachay kam peda karo. Yeh bilkul hi Islam ki khilaf hai. Islam to kehta hai keh musalmanon ki tadaad ziada ho jis se kafiron par hebat taari ho. Yeh family planning ka shosha sirf issi lye hamaray muashray main chorra gaya hai keh musalmanon ki afzaish ko roka ja sakay aur inn ki tadaad kam rahay. Iss ke muqablay main Europe ko dekhain to wahan ziada bachay peda karnay par allowances dye jatay hain aur hakomatain aisay iqdamat karti rehti hain keh abadi main khatir-khawah izafa ho.
Yeh jo kaha jata hai keh bachon ki shadi der se ki jaye takeh unn ki sehat pe asar na paray, yeh aik dhakoslay ki ilawa kuch bhi nahin hai. Jo log Islam ke mutabiq zIndagi guzartay hain, unn ki sehat itni kamzor hoti hi nahin keh unn ko shadi se kuch farq paray. Aap unn families ke bachay dekh lain jo tajarat pasha hain ya phir kheti baari se wabasta hain. Unn ki sehat qabil-e-rashk hoti hai. Jabkeh sarkari mulazmeen ke bachay shaz-o-nadir hi aisay hotay hain.
Islam ne yeh hukm dia hai keh aisi aurat se shadi karo jo ziada bachay peda karne wali ho. Issi ke tasalsul main aurat ko bhi hukm dia gaya hai keh aisi ban sanwar ke rahay keh uss ka shohar uss ki janib mayel ho aur be-rah-ravi ke baray main na sochay.
Islam ham ko yeh bhi batata hai keh mian-biwi apas main hambistri karain to Allah ta’ala khush hota hai, jabkeh hamara muashra aaj 21vin saddi main bhi mian-biwi ke baqi ghar walon ke samnay baat cheet karnay ko ajeeb nazar se dekhta hai. Islam ka aisay kisi rawayye se koi taluq nahin hai, yeh cheez ham ne hindu mazahab se hasil ki hui hai jin se ham abhi tak zehni taur par azadi hasil nahin kar sakay. Balkeh Sony aur Starplus dekh dekh kar apni iss ghulami ko mazeed pukhta kartay chalay ja rahay hain.
Lubb-e-lubaab meri tehreer ka yeh hua keh aik choti si Ayat-e-Kareema thi keh “Bachoon ke baligh hone ke baad unn ki shadiyon main jaldi kia karo”, magar iss Ayat ke sath kitni batain jurri hui hain. Aik choti si ayat ki tashreeh main kitni gehrai hai, aur sari batain apas main kis tasalsul ke sath jurri hui hain. Yahi hai who research jis ki aaj Quran ko Zaroorat hai. Allah hamain Quran aur Islam ko samajhne ki tofeeq atta farmaye. Aameen.
No comments:
Post a Comment