کسے دھوکہ دے رہے ہو ؟؟ خود کو ؟ کیوں ؟ یہ بات تم بھی جانتے ہو کہ خدا موجود ہے پر تمھارے اندر کا نفس چھٹے ہوۓ سانڈ کی طرح ہوگیا ہے تمہاری ہوس تمھارے دل اور دماغ پر حاوی ہوگئی ہے خدا پاک کا قانون حدود مقرّر کرتا ہے جب کہ تمھارے اندر کا شیطان تمھیں مادر پدر آزاد رکھ کر انسانیت کی تذلیل کرنا چاہتا ہے تم عورت کو با لباس نہیں دیکھنا چاہتے تمہاری غلیظ آنکھیں عورت کو نمایش اور چیز بیچنے والا آئٹم بنا کر اپنے شیطانی ارادوں کو ٹھنڈا رکھنا چاہتے ہو اصل میں تم نفسیاتی مریض ہو تمھیں علاج کی ضرورت ہے .. ( پچیدہ تخلیق )
Baat dar-asal yeh hai ham kisi qism ki pabandiyon ko qabool karnay ke aadi hi nahin rahay. Walidain ki tarbiyat to jo bhi thi, Hamari jo tarbiyat muashray, media aur chand inqilabiyon ne ki hai, uss ne hamari shakhsiyaton main se har aisi salahiyat ko khatam kar dia hai keh ham kisi ki achi baat sunain, kisi ke sath bahalai karain, apnay zameer ki awaz pa kaan dharain ya kisi bhi positive bat ko sochain. Hamaray muashray ka haal yeh hai keh mujrim ko saza dena bhi "insani huqooq" ke khilaf hojata hai halankeh uss mujrim ne kitna bhi bara jurm kia hua ho. Mujhe achi tarah yaad hai keh jab Sialkot case ke mujrimon ka trial horaha tha to boht se log unn mujrimon ke favour main yeh farmatay hue sunay gaye keh "waqti ishtiaal ke teht agar unn se aik ghalti ho hi gai hai to iss ka matlab yeh to nahin keh unn ko itni sakht saza di jaye". Iss propogaday ke hi nateeja hai keh unn mujrimon ko jo saza milni chahye thi, woh nahin mili.
Matlab kehne ka yeh hai keh jab zameer hi murda hogaya hai to phir haya aur parday ka to sawal hi peda nahin hota. Baqi sara saal to jo bhi hota hai, Ramzan jaise muqaddas maheenay main bhi parday ka ehtram nahin hota aur bepardagi main kisi bhi qism ka koi farq nahin parta.
Magar alamiya hamaray muashray ka yeh hai keh jab aisi khawateen se kuch kehnay ki koshish ki jaye to bara mazay ka jawab milta hai (main ne yeh jawab khud television ke aik program main suna hai):
"Maulana sahib, chup kar ke bethain, 50 saal ki koshishon ke baad to ham ne khawateen ke lye azadi hasil ki hai, aap phir ham ko pathar ke daur main lejana chahte hain."
Abb bataye, aur apnay dil se pooch kar bataiye keh ham main se kitnay log hain jo sahi ma'noon main Pakistan main Islam ka nifaz chahte hain? Iss kefiyat ko nafsiyati marz keh lain, gumrahi keh lain ya jo chahain naam de lain. Haqeeqat yahi hai meri nazar main.
No comments:
Post a Comment