Jehangir Bhai, aap ki dua ko parhne ke baad mere zehn main aik khayal aya. Farz karain, main to apne lye aisi biwi mangta hon jis main yeh sari khoobiyan hon. Abb jis main yeh tamam khoobiyan hongi, mere khayal main woh aurat kisi ghalat kaam ko, kisi ghalat baat ko, kisi na-insafi ko, aur kisi bhi qism ki najaiz baat ko bardasht nahin karay gi. Matlab yeh hua keh gher lachakdar hogi. Kyon keh Islam main ghalat baton pe lachak ki koi gunjaish nahin hai.
Main to yeh bardasht kar lon ga kyon keh main to uss ko inhi khoobiyon ki waja se pasand kar ke laya hon. Magar, joint family ki soorat main, kia mere baqi ghar walay bhi yeh sab bardasht kar lain gay? Kia woh sab apnay pehle se chalte hue nizam main kisi bhi qism ki tabdeeli ka mashwara maan lain gay? Agar koi aisa moqa agaya jahan meri walda ko apni beti aur bahoo ke darmyan insaf karna parr gaya to kia hoga? Agar kahin mujhe apni walda aur biwi ke darmyan insaf karna parr gaya to kia hoga.
Ho sakta hai keh meri biwi mere uss feslay ke waqt to kisi muslehat ki bina par khamosh hojaye lekin uss ke dil main mera kia muqam tashkeel paye ga?
Koi sahib meray zehn ke inn sawalon ka tasalli bakhsh jawab de sakain gay?

No comments:
Post a Comment