Pakistan main mashallah Islam ki boht si iqsaam raij hain aur itni variety ke hotay hue yeh to hargiz nahin kaha ja sakta keh inn main se asal kon sa hai. Har qism ki numaindgi aik firqa kar raha hai. Unn main se chand firqay waqai aisay hain jaise keh Mr.Tangled Creativity ne farmaya, ya'ni jab woh lajawab hojatay hain to phir ghussay main ajatay hain aur jhagrra karne lagte hain takeh madd-e-muqabil khamosh ho kar medaan se hatt jaye.
Doosri beemari iss tabqay main yeh hai keh mazhab ke hawalay se mubaligha boht kartay hain. Aik sachay musalmaan ki hesiyat se Islam ke hawalay se hamara eemaan hai keh Hamaray Pyaray Nabi (SAWW) ne jis din Akhri Khutbay main yeh farmaa dia keh "Aaj tumharay lye deen mukammal hogaya hai, aaj ke baad na to iss main se koi cheez kam ki ja sakay gi aur na hi koi izafa kia ja sakay ga", uss din Islam ki takmeel hogai thi. Magar yeh tabqa mubalighay main itna agay nikal jata hai keh iss baat ka koi lihaz hi nahin rakhta.
Agar ham yeh koshish karain keh durust rastay par chalain to yahi tareeqa bachta hai keh apnay zehn se sochain. Apni aik aur tehreer main aik istelaah istemaal ki hai "Affiliated Thoughts". To jab ham affiliated thoughts se azad ho kar sochain gay, Quraan-e-Kareem ka tarjumay se tashreeh ke sath khud mutali'a karain gay to hidayat khud ba khud hasil hoti chali jaye gi.
Aisay logon se behs karna bilkul be-sood hota hai jo iss baat ke sakht mukhalif hain keh kisi ke musbat dalail ko tasleem bhi karna hai, kisi ki achi baat ki tareef karni hai, aur apni woh baat jo ghalat sabit ho jaye, uss ko ghalat bhi tasleem karna hai. to phir aise logon ke sath kia maghaz maari ki jaye. Unn ke lye dua hi ki ja sakti hai keh Allah inn ko hidayat day.
No comments:
Post a Comment