Aaj kal ham log shadi ke lye aisi larki chahtay hain jo atay waqt itna jahez le kar aye keh sara ghar bhar day, aur itni achi nokri bhi karti ho keh ghar ki ghurbat door kar day. Aur apni din bhar ki nokri ke baad ghar aakar saray khandan ki khidmat bhi karay. Jahan tak baat hai deen aur mazhab ki, to woh sab ka sab jaye bharr main. Kyon keh jis larki ne parda kar ke ghar main bethna hai, woh kama kar kaise laye gi?
Aur phir aik boht bara point jo keh na ko koi mulla ham ko samjhaye ga aur na hi ham khud bhi iss ko samajhna chahtay hain. Woh yeh keh Aurat ki Allah Bazurg-o-Bartar ne Islam main 4 Hesiyatain bayan farmai hain.
(1) Beti
(2) Behn
(3) Biwi
(4) Maan
Jab Hesiyatain yeh 4 batai hain to uss par zimma dariyan bhi inn hi hesiyaton main dali gai hain. Kia dunya ka koi shakhs Quran, Hadees, Fiqh ya kisi aur Islami Taleem main se yeh sabit kar sakta hai keh Aurat ko Saas, Susr, Devar, Jeth, Chacha, Mamoon ya kisi aur aisay rishtay ki khidmat ka hukm dia gaya hai. Allah ka hukm to boht wazeh hai keh Khidmat walidain ki karni hai. Phir walidain to mard ke hain, uss ke biwi ke to nahin hain. Jabkeh sari ki sari khidmat mard ki biwi ne ki hoti hai. Khidmat bhi karti hai aur uss ke bawajood tanqeed bhi bardasht karti hai.
Kia Allah Ta'ala ne Aurat ko Devar, Jeth aur Susr se parda karnay ka boht wazeh hukm nahin dia hua? Magar kia ham sab apni biwiyojn se inhi rishton ki khidmat zabardasti nahin karwatay?
Abb zara saray muamlay ka jaiza to lain keh ham apni biwi ko kon kon si gher Islami baton par zabardasti majboor kartay hain.
(1) Jahez ke naam par larki ke walidain ki kamai se apna ghar bhar lena (aur khud ko gheratmand bhi kehna).
(2) Naan-o-Nafqah Mard ke zimmay honay ke bawajood Aurat ki kamai khana aur phir bhi khud ko gherat mand samajhte rehna.
(3) Izafi Amadni ki khatir apni biwi ko gher mardon ke darmyan mulazmat pe majboor karna (ya bakhushi ijazat dena) aur phir apni gherat ka dandora peet-tay rehna.
(4) Apnay jawan bhai behnon ki khidmat apni biwi se karwana aur iss baat ko hamesha chupa ke rakhna keh Allah ne aap ki biwi ko inn sab se parda karne ka hukm dia hua hai.
(5) Ghar ki sari zimma dariyan uss par dal kar uss ko yeh fareb dena keh "Abb yeh ghar tumhara hai, iss ko tum sambhalo" magar kisi bhi feslay ka ikhtiar uss ko na dena.
(6) Hargiz yeh na sochna keh iss ke byah kar anay se pehle bhi to yeh ghar chal hi raha tha, jo log iss ke anay se pehle kaam kartay thay, woh abb kyon nahin kartay (aur iss na-insafi ke bawajood khud ko musalman samajhte rehna).
Islam ne aurat ko boht waze'h hukm dia hua hai keh apnay shohar ki khatir ‘banao singhaar’ karay aur aisi ban ke rahay keh jaisi aurat ko uss ka shohar pasand karta hai. Magar ham woh ajeeb-o-ghareeb log hain keh aaj 21vin sadi main bhi mian-bivi ko aik charpai par door door betha dekh kar munh pe hath rakh rakh kar tanzia nazron se dekhtay rehtay hain.
Shadi se pehle beta ghar walon ko shakal dikhaye ya na dikhaye, shadi ke baad agar beta bahir se aakar maan ke kamray main pehla nahin gaya to aik qayamat khari ho jati hai. Naam iss cheez ko yeh dia jata hai keh "Maan ko bhool gaya hai, jis ne paala hai uss ki izzat nahin karta" waghera waghera. Magar iss munifiqat (main to yahi lafz istemal karon ga) ke peechay haqeeqat kia hoti hai?
Kahin beta apni biwi ke lye koi cheez to nahin laya?
Kia biwi ka haq nahin keh shohar uss ke lye koi cheez bahir se le aye? Kia Islam kahin bhi Mian-Biwi ke darmyan honay wali kisi bhi baat main saas ko ya nand ko dakhal-andazi ki ijazat deta hai? Agar aisa hai to mujhe dikha dain. Han dikhane se pehle yeh baat yaad rakhain keh main uss din tak honay wali baton ko hi Islam ka hissa manta hon jo Akhri khutbay waly din tak Islam main shamil hogai thi. Uss ke baad wali cheez agar Islam main shamil hui hai to woh meri nazar main bid'at kehlaye gi.
Agar saas iss lye bahoo se adhi raat tak paaon dabwati rehti hai keh beta biwi ke qareeb anay se pehle so jaye aur unn ko Allah ke Hukm ke mutabiq huqooq-e-zojiyat ka kam se kam moqa milay to Islam ki nazar main aisi saas ya aisi maan ki kia hesiyat hogi?
Kia woh maan betay ki shadi se peh, apni sagi beti se isi tarah aadhi raat tak paaon dabwati thi?
Kia uss ki apni sagi beti bhi ghar ke utnay hi kaam kia karti thi jitnay bahoo se lye ja rahay hain?
Kia Betay ki shadi se pehle bhi ghar ki khawateen subah usi waqt jag jaya karti thi jis waqt betay ki shadi ka bag jagna shuru kar dia hai?
Aik aur boht bara fitna jo Mian-Biwi ki zindagi main talkhiyan gholta hai, woh hai larkay ki shadi-shuda behnon ka aakar ghar ke muamlaat main dakhal-andazi karna. Kia aik shadi shuda larki ko yeh haq hasil hona chahye keh woh apnay mekay ke muamlaat main dakhal-andazi karay. Agar aap apni biwi ko yeh haq detay hain to aap ki behn apnay susral se aakar aisa karlay. Lekin aap agar apni biwi ko aisa karne ki ijazat nahin detay to phir aap apni behn ko kyon yeh haq detay hain?
Oopar Mian-Biwi ke baray main Islam ke jitney ehkamat main ne apni naqis aqal ko istemal kar ke bayan kye hain, kia unn sab ki roshni main yeh sabit hota hai keh “Joint Family System” Islam ke mutabiq hai? Mujhe Islam kahin bhi Joint Family System ki support karta nazar nahin aya. Yeh system to ham ne Hindu se lia tha jis ko poori aab-o-taab ke sath qaim rakha tha aur abb Indian Channels iss system ko hamaray Pakistani muashray main mazeed pukhta kartay ja rahay hain.
Insaf boht talkh hota hai magar jo log kartay hain unn ko apnay akhri waqt main logon ki minnetain nahin karni parti keh "Allah ke wastay mujhe bakhsh dena".
Allah ham sab ko Insaf par chalne ki tofeeq ata farmaye aur hamaray muashray ko hidayat ata farmaye.

No comments:
Post a Comment