Diyar-e-Gher

Agar iss muamle ka tafseeli jaiza kia jaye to iss ke peechay kuch aur hai. Akhir mard aur aurat aik doosray se kitna arsa door reh saktay hain. Aur phir jab wo Europe jaise azadana mahol main reh rahay hon to aisa taqreeban namumkin hojata hai. Sawal yeh peda hota hai keh kia aik shadi shuda mard ke lye itna lamba arsa ghar se bahir rehna Islam ke mutabiq jaiz hai?
Jab Hazrat Umar-e-Farooq (R.A) apni riasat ke qawaneen murattab farma rahay thay to chuttiyon ke muamla bhi zer-e-ghor aya. Aap apni shadi shuda beti ke paas tashreef le gaye aur uss se poocha keh “shadi shuda mard aur aurat aik doosray se kitna arsa door reh saktay hain”. Unhon ne jo jawab dia who ghaliban koi sarhay teen ya char maheenay ki muddat banti thi, ya shayad wohi muddat thi jo keh ‘Iddat’ ki hai. Hazrat Umar (R.A) ne yeh qanoon bana dia keh meri fauj ka sipahi, dunya main kahin bhi masroof ho, iss muddat ke baad chutti kar ke ghar zaroor aye ga.
Aaj ham apne ird gird dekhain to jo log mukammal qanooni dastavezat ke sath mulk se bahir mulazmat ke lye jatay hain, unn ki bhi ghar ki janib wapsi kam az kam aik saal ke baad hoti hai. Jo log namukammal kaghzaat aur gher qanooni taur pe jatay hain who to 5 ya 10 tak wapis nahin atay keh kahin dobara jana mushkil na hojaye. Abb jo banda apni jawan biwi ko aik saal ya uss se bhi ziada muddat ke lye chor ke mulk se bahir chala jata hai, who bahir ke mulk main apna waqt kaise guzaray, kitna arsa sabr karay aur phir yahan uss ki biwi yahan kaise guzara karay. Agar biwi gumrah hojati hai to bhi mujrim thehrai jati hai. Agar sabr karay to nafsiati taur par disturb honay lagti hai aur iss tarah disturb honay par jab ghar ke kaamon main us ski kargardgi main kami ati hai to phir susraal walon ki nazar main mujrim thehrai jati hai jis ki report betay (uss ke shohar) tak puhnchai jati hai jis ke nateejay main mosoof wahin bethay talaq ka nadir-shahi fesla sadir farma detay hain. Haqeeqat tak puhnchne ki koshish koi bhi nahin karta.
Agar ham aadmi ke mulk se bahir janay ki wajoohaat ka jaiza lain to mundarja-zail wajoohaat samne aati hain:
(1) Mulazmat ke hasool ki khatir
(2) Ilm ke hasool ki khatir
(3) Tijarat ki khatir
(4) Sair sapatay ki khatir
(5) Jihad ki khatir
Abb zara tafseel se jaiza lain. Jihad ki khatir janay ke hawalay se oopar Hazrat Umar (R.A) ka waqia sari baat ko clear kar deta hai. Sair sapatay ki khatir janay walay bhi lambay arsay ke lye nahin jaya kartay, who chand maheenon ke lye hi jatay hain lihaza yeh baat bhi hamaray mazhab ke sath nahin takrati. Tijarat ki khatir jo tours lagaye jatay hain who bhi chand hafton ke hi hotay hain.
Ilm ka husool who waja hai jis ke hawalay se ham ko boht se Aulia-e-Deen aur Bazurgaan ke waqiat sun-nay aur parhnay ko miltay hain ke unhon ne kai kai saal husool-e-ilm main sarf kye aur iss maqsad ke lye sargardaan rahay. Ilm ke husool ke ilawa aisi koi misaal nahin milti jahan koi shadi shuda mard lambay arsay ke lye apnay ghar se door raha ho. Rizq ka wa’da jab Allah Ta’ala ne kia hua hai to iss ke lye apni ghaleloo zindagi main talkhian bharnay aur phir uss ke nateejay main gunah kamanay ka haq ham ko kis ne dia?
Ilm ko to Allah Ta’ala ne itni ehmiyat di hui hai keh Quraan ke nazool ka aghaz hi IQRA ke lafz se hota hai. Iss hawalay se mazeed ghor karain to pata chalta hai keh darsgah ya madressah wo muqaam hai jahan jaiz kamai se dia janay wala har qism ka paisa jaiz qaraar dia gaya, ya’ni zakaat, kheraat, sadqa, fitrana, imdaad waghera waghera.
Abb wapis atay hain asal mozoo ki tarf. Jab rozi ka wa’da Allah Ta’ala ne khud kia hua hai, har shakhs ka naseeb likha hua hai to phir ham itnay lambay arsay ke lye ghar se door kyon chalay jatay hain aur gunahon ke murtakib kyon hotay hain. Aisi biwi agar apni khawahishaat ki shaddat se majboor ho kar gumrah hojati hai to meri naqis rai main uss biwi ka zimmay gunah kam hoga jabkh ziada gunah unn logon ke sar hoga jo keh uss ke shohar ko paisay ki khatir ghar se door bhejne ke zimmay daar hain. Isi tarah agar who mard, diyaar-e-gher main kisi gunah ka murtakib hota hai to uss ke gunah ki zimmadari bhi unn tamam logon par yaksaan ayad hoti hai jo uss ko ghar se itna arsa door bhejnay ke mujrim hain. Zara ghor to farmaye keh aik gunah ki saza ke murtakib kitnay log ban gaye? Islam ne khawahishaat ko poori tarah madd-e-nazar rakha hai aur isi waja se bewa, mutalliqa ya aisi kisi aurat ke sath shadi ko jaiz qarar dia hua hai. Isi tarah mard ko bhi aik se ziada shadiyon ki ijazat di hui hai. Magar aaj ham iss jaiz raston ki janib janay ki bajaye gunah ke raston par baray shoq se chaltay hain aur iss ke lye ultay seedhay jawaz bana letay hain.
Allah ham ko apnay mazhab ko samajh kar seedhay rastay par chalne ki tofeeq ata farmaye. Aameen.
No comments:
Post a Comment